Yeh haseen waadiyaan, yeh khula aasmaan
Aa gaye hum kahaan, aye mere saajana
In bahaaron mein dil ki kali khil gayi
Mujhko tum jo mile har khushi mil gayi
Tere honthon pe hain husn ki bijliyaan
Tere gaalon pe hain zulf ki badliyaan
Tere daaman ki khushbu se mehke chaman
Sangmarmar ke jaisa yeh tera badan
Mere jaane-jaan, main teri chandni
Chhed do tum aaj koi pyaar ki ragini
Yeh haseen waadiyaan, yeh khula aasmaan
Aa gaye hum kahaan, aye mere saajana
Yeh bandhan hai pyaar ka, dekho, toote na sajni
Yeh janmon ka saath hai, dekho chhoote na sajna
Tere aanchal ki chhaon ke tale, meri manzil mujhe mil gayi
Teri palkon ki chaaon ke tale, mohobbat mujhe mil gayi
Yeh haseen waadiyaan, yeh khula aasmaan
Aa gaye hum kahaan, aye mere saajana
In bahaaron mein dil ki kali khil gayi
Mujhko tum jo mile har khushi mil gayi
Yeh haseen waadiyaan, yeh khula aasmaan
Aa gaye hum kahaan, aye mere saajana
Jee karta hai saajana dil mein tum ko chhupa loon
Aa masti ki raat mein apna tumko bana loon
Uthne lage hain toofan kyun mere seene mein aye sanam
Tumhe chahunga dil-o-jaan se, meri jaan-e-jaan teri kasam
Yeh haseen waadiyaan, yeh khula aasmaan
Aa gaye hum kahaan, aye mere saajana
In bahaaron mein dil ki kali khil gayi
Mujhko tum jo mile har khushi mil gayi
Mere jaane-jaan, main teri chandni
Chhed do tum aaj koi pyaar ki ragini
Yeh haseen waadiyaan, yeh khula aasmaan
Aa gaye hum kahaan, aye mere saajana
Yeh haseen waadiyaan, yeh khula aasmaan
Aa gaye hum kahaan, aye mere saajana