Tere hoton ke do phool pyare pyare
Tere hoton ke do phool pyare pyare
Mere pyar ki baharon ke nazaare
Ab mujhe chaman se kya lena, kya lena
Teri aankhon ke do tare pyare pyare
Meri raaton ke chamakte sitare
Ab mujhe gagan se kya lena, kya lena
Tere hoton ke do phool pyare pyare
Teri kaya kanchan kanchan
Kirnon ka hai jismein basera
Teri saansein mehki mehki
Teri zulfon mein khushbu ka dera
Tera mehke ang ang
Jaise sone mein sugandh
Mujhe chandan ban se kya lena, kya lena
Teri aankhon ke do tare pyare pyare
Meri raaton ke chamakte sitare
Maine dekha jabse tujhko
Mere sapne huye sindoori
Tujhe pa ke mere jeevan dhan
Har kami hui meri poori
Piya ek tera pyar mere solah singar
Mujhe ab darpan se kya lena, kya lena
Tere hoton ke do phool pyare pyare
Mere pyar ki baharon ke nazaare
Tera mukhda damke chamke
Jaise sagar pe chamke savera
Teri baahein pyar ke jhoole
Teri baahon mein jhoole man mera
Teri meethi har baat
Ras ki hai barsat
Hamein ab savan se kya lena, kya lena
Tere hoton ke do phool pyare pyare
Teri aankhon ke do tare pyare pyare
Ab mujhe chaman se kya lena, kya lena
Ab mujhe gagan se kya lena, kya lena
Hamein kya lena, kya lena
Hamein kya lena, kya lena