Suno suno aye duniya waalon, Bapu ki ye amar kahaani
Woh Bapu jo pujya hai itna, jitna Ganga maa ka paani
Suno suno aye duniya waalon, Bapu ki ye amar kahani
Porbandar Gujarat desh mein, ek rishi ne janam liya
Maat pitah ne Mohandas, Karamchand Gandhi naam diya
Bachpan khelkood mein gujra, London jaakar vidya payee
Barristor ban Africa mein, jaakar apni dhaak jamaayee
Lekin jo phaani duniya mein, amar kahaane aate hai
Woh kab maaya moh mein phanskar, apna samaa ganwaate hai
Suno suno aye duniya waalon Bapu ki ye amar kahaani
Africa mein Hindi jan ki, badi durdasha payee
Gore raaj se takkar lekar, satya ki jyot jalaayee
Phir Bharat ki seva karne, apne desh mein aaya
Sabarmati mein satyaagrah ka, aashram aan banaaya
Aur khilafat kranti prant mein, sabhapati ka darjah paya
Islami adhikaar ki raksha, mein bhi haath bataya
Hindu Muslim dono uski, aankhon ke taare thhe
Duniya ke saare hi mazhab, Bapu ko pyaare the
Suno suno aye duniya waalon Bapu ki ye amar kahani
Bharat kaumi Congress ki, aisi dhoom machaayee
Kaumi jhande ke neeche phir, janta daudi aayee
Khaadi ka parchaar kiya phir, ghar ghar khaadi aayee
Aur bideshi maal ki holi, Gandhi ne jalwaayee
Charkhe ki awaaz jo goonjee, huyee machine thandee
Aur shaan se lahraayee, Bharat ki trirangee jandee
Suno suno aye duniya waalon Bapu ki ye amar kahani
———————————————————-
Part IV
—————————————————————
Suno suno aye duniya waalon, bapu ki ye amar kahani
Woh bapu jo pujya hai itna jitana, ganga maa ka paani
Suno suno aye duniya waalon, bapu ki ye amar kahani
Tees janwari shaam ko bapu, Birla ghar se baahar aaye
Praarthna asthaan ki jaanib, dheere dheere kadam badhaaye
Lekin us din honi apna, roop badalkar aayee
Aur ahinsa ke seene par, hinsa ne goli barsaayee
Bapu ne kaha, Raam Raam, aur jag se kiya kinaara
Raam ke mandir mein jaa pahuncha, Shri Raam ka pyaara
Jao bapu, jao bapu, rahega naam tumhaara
Jab tak chamke, chaand sitaare, chamke kaam tumhaara
Bapu tumne, praan diye, aur maut ki shaan badhaayee
Tumne apna, khoon diya, aur prem ki jyot jalaayee
Jai Bapu ki jai Gandhi ki, bolo sab jan jai Gandhi
Jis ne hindi muslim mein, ik dor pyar ki bandhi
Yaad rahe bapu ki kahani, bhool naa is ko jaayen hum
Bapu ne jo diya jalaaya, uski jyot badhaaye hum
Jai Bapu ki jai Gandhi ki, bolo sab jan jai Gandhi
Jai Bapu ki jai Gandhi ki, bolo sab jan jai Gandhi
Jai Gandhi, jai Gandhi, jai Gandhi, jai Gandhi, jai Gandhi