Nahin jara bhi nahin
Mujhe afsoos ek katra bhi nahin
Na kisi ke bhale karam ka
Na kisi ke kisi sitam ka
Farq jara bhi nahin
Nahin jara bhi nahin
Mujhe afsoos ek katra bhi nahin
Samjho chuk gaye hisaab sabhi ; Beh chale mit gaye asbab sabhi
Jo beet gayi ; sab baat gayi
Aur apne yaadon ki
Lanka jala di maine
Gham ki hon ; ya wo khushi ki hon
Unki jaroorat nahin kisi ki hon
Jeyhan se mit gaye aashiq ; aashikana
Aur unka thartharana
Mit gaya sab sada sada ke liye
Shoonya se fir se ibtida ke liye
Nahin jara bhi nahin
Mujhe afsoos ek katra bhi nahin
Na kisi ke bhale karam ka
Na kisi ke kisi sitam ka
Farq jara bhi nahin
Nahin jara bhi nahin
Mujhe afsoos ek katra bhi
Kyunki meri jindagi ; aur uski saari khushi..
Aaj se hui hain shuru ; aur tum mey hain basi.