*********It is revised now.. Better is #3.*********
Zara bhi nahin kahin koi
Mujhe afsoos hi nahin koi
Chahe karam ho kisika mujhpar
Ke sitam ho kisika koi ; Mujhe farq nahin padta koi
Zara bhi nahin kahin koi
Mujhe afsoos hi nahin koi
Samjho chuk gaye hisaab sabhi ; Beh chale mit gaye asbab sabhi
Jo beet gayi wo sab baat gayi
Aur rahi yaadon ki
Lo lanka jala di maine
Wo gham ki hon; ya khushi ki hon
Unki jaroorat nahin rahi koi; Zara bhi nahi kahin koi
Jeyhan se mit gaye sanam saare
Unke thartharate badan saare
Mit gaye sab sada sada ke liye
Shoonya se fir se ibtida ke liye
Zara bhi nahin kahin koi
Mujhe afsoos hi nahin koi
Chahe karam ho kisika mujhpar
Ke Sitam ho kisika koi ; Mujhe farq nahin padta koi
Zara bhi nahin kahin koi
Mujhe afsoos hi nahin koi
Kyunki saari jindagi meri; uski saari khushi meri..
Ne jaise aaj aur ab liya hai janam ... tumse o sanam.