Martha mere kamre mein taiyar hoti hai
subah ke 6 baje hain
aur suraj ug chuka hai
uske kapde puri farsh par faile hain
unme raat ki khushbu hai
aag ki khushbu hai
aur wo muskurakar mujhse kehti hai
kya diwangi thi wo jo bhi hui!
meri ankhon mein dekhti hai aur vida leti hai
jaise pichhli raat kuch hua hi nahi
Jaanti ho martha,
main aadhi zindagi aur kuch zyada bhi de dunga
sirf tumhare sath rehne ko..
Oye martha,
krapya meri zindagi se na jaao
kam se kam mujhe ban-ne do
tumhara dost
Martha mujhe aakhri baar chumti hai
Uska muh mujhe abhi bhi shahad ki tarah mitha lagta hai
Main kehta hoon ki kasam khao mujhe phone karogi
aur haste hue kehti hai, shayad hi
Uske pair ek subah ki tarah hain
koi shak nahi ke use pata hai ye sab kaise karna hai
Jaanti ho martha,
main aadhi zindagi aur kuch zyada bhi de dunga
sirf tumhare sath rehne ko..
Oye martha,
krapya meri zindagi se na jaao
kam se kam mujhe ban-ne do
tumhara dost
Nahi.. nahi .. nahi ..
Martha mujhe aakhri baar chumti hai
Uska muh mujhe abhi bhi shahad ki tarah mitha lagta hai
Jaanti ho martha,
main aadhi zindagi aur kuch zyada bhi de dunga
sirf tumhare sath rehne ko..
Oye martha,
krapya meri zindagi se na jaao
kam se kam mujhe ban-ne do
tumhara dost