khizaan ke phool pe aati kabhi bahaar nahin
mere naseeb mein ai dost, teraa pyaar nahin

na jaane pyaar mein kab main, zubaan se phir jaaun
main banke aansoo khud apni, nazar se gir jaaun
teri qasam hai meraa koyi, aitbaar nahin
mere naseeb mein ai dost, teraa pyaar nahin
main roz lab pe nayi ek, aah rakhtaa hoon
main roz ek naye gham ki raah taktaa hoon
kisi khushi ka mere dil ko, intzaar nahin
mere naseeb mein ai dost, teraa pyaar nahin
ghareeb kaise mohabbat, kare ameeron se
bichhad gaye hain kayi raanjhe, apni heeron se
kisi ko apne muqaddar pe, ikhtiyaar nahin