Kabhi yaadon mein aaoon
Kabhi khwaabon mein aaoon
Kabhi yaadon mein aaoon
Kabhi khwaabon mein aaoon
Teri palkon ke saaye mein aakar jhilmilaoon
Main wo khushboo nahin jo hawa mein kho jaaoon
Hawa bhi chal rahi hai
Magar tu hi nahi hai
Fiza rangeen bani hai
Kahaani keh rahi hai
Mujhe jitna bhulao
Main utna yaad aaoon
Kabhi yaadon mein aaoon
Kabhi khwaabon mein aaoon.
Jo tum na milti
Hota hi kya dhoond laane ko?
Jo tum na milti
Hota hi kya dhoond laane ko?
Jo tum na milti
Hota hi kya haar jaane ko?
Meri amaanat thhi tum
Meri amaanat thhi tum
Meri mohabbat ho tum
Tumhein kaise main bhulaoon?
Kabhi yaadon mein aaoon
Kabhi khwaabon mein aaoon
Teri palkon ke saaye mein aakar jhilmilaoon
Tadap rahe ho
Zamaane se muskaraane ko
Tadap rahe ho
Zamaane se muskaraane ko
Taras rahe ho
Zamaane se paas aane ko
Teri dhadkanon mein baskar
Teri dhadkanon mein baskar
Teri saans mein reh reh kar
Tumhein har pal sataaoon
Kabhi yaadon mein aaoon
Kabhi khwaabon mein aaoon
Teri palkon ke saaye mein aakar jhilmilaoon
Main wo khushboo nahin jo hawa mein kho jaaoon