Dil ko dekho, chehara naa dekho, cheharo ne laakho ko luta
ha dil sacha aur chehara jhuta
Jo apanee sachee surat dikha de, aise nahee duniyawaale
Sabne hee apne cheharo ke aage jhut ke parde hain daale
Mithee hontho pe baat, dil me rehatee hai khat
Dil kaa hontho se naata hee jhuta
Dil sacha aur chehara jhuta
Dil ko dekho, chehara naa dekho
Tann se toh aajad ham ho gaye hain, mann se gayee naa gulaamee
Pardesee bhasga aur vesh ko hee dete hain abb tak salaamee
Bhul kar apana rang, sikhe auro kaa dhang
Apnepan kaa chalam hamse chhuta
Dil sacha aur chehara jhuta
Dil ko dekho, chehara naa dekho
Marjee tumhaaree tum kuchh bhee samajho
Jo ham hain woh ham hee jaane
Rang rup dekhe toh dekhe jamaana, ham pyaar ke hain divaane
Puje dhan ko sansaar, hame mann se hai pyaar
Dhan kisee baat par hamse rutha
Dil sacha aur chehara jhuta