current location : Lyricf.com
/
Songs
/
Deva Shree Ganesha [English translation]
Deva Shree Ganesha [English translation]
turnover time:2025-01-24 04:59:18
Deva Shree Ganesha [English translation]

Deva shree ganesha..

Jwala si chalti hai aankhon mein jiske bhi dil mein tera naam hai

Parwah hi kya uska aarambh kaisa hai aur kaisa parinaam hai

Dharti ambar sitare

Uski nazare utaare

Darr bhi us se dara re

Jiski rakhwaliya re

Karta saaya tera

hey deva shree ganesha..

teri bhakti ka vardaan hai

Jo kamaaye woh dhanvaan hai

Bin kinare ki kashti hai woh

Deva tujhse jo anjaan hai

Yoon toh mooshak savari teri

Sab pe hai pheredaari teri

Paap ki aandhiyan laakh hon

Kabhi jyoti na haari teri

Apni takdeer ka woh, khud sikandar hua re

Bhool ke yeh jahaan re, jis kisi ne yahaan re

Saath paaya tera

hey deva shree ganesha..

Teri dhuli ka teeka kiye

Deva jo bhakt tera jiye

Usse amrit ka hai moh kya

Hans ke vish ka woh pyaala piye

Teri mahima ki chaaya tale

Kaal ke rath ka pahiya chale

Ek chingaari pratishodh se

Khadi ravaan ki lanka jale

Shatruon ki kataaren, ik akele se haare

Kan bhi parbat hua re, shlok bann ke jahaan re

naam aaya tera hey

Deva shree ganesha..

Ganpati bappa moreya

tvamev mata pita tvamev, tvamev bandhu sakha tvamev

tvamev vidya dravidam tvamev, tvamev sarvam mam dev dev..

Achutam Keshavam Rama Narayanam Krishna Damodaram Vasudevam Harim

Sridharam Madhavam Gopika Vallabham Janaki nayakam Ramachandram bhaje...

...

Hare ram hare raam, raam raam hare hare..

Hare krishna hare krishna, krishna krishna hare hare..

Comments
Welcome to Lyricf comments! Please keep conversations courteous and on-topic. To fosterproductive and respectful conversations, you may see comments from our Community Managers.
Sign up to post
Sort by
Show More Comments
Ajay Gogavale
  • country:India
  • Languages:Hindi, Marathi
  • Wiki:https://en.wikipedia.org/wiki/Ajay%E2%88%92Atul
Ajay Gogavale
Latest update
Copyright 2023-2025 - www.lyricf.com All Rights Reserved