Chipak-chipak kay chaltee hain kabhi-kabhi do raahein
Jude-jude kuchh aise ki lagaa ho jaise gum
Double-double hotee thi jo kabhi-kabhi takleefein
Kisi ke sang mein chalne say hui half se kam
Teraa meraa meraa teraa, tera mera mera tera kissaa atrangee
Kabhi-kabhi chaltee hai kabhi-kabhi ruktee kahaani bedhangee
Kashmir main tu kanyakumari
North-South ki kat gayi dekho doori hi saari
Kashmir tu main kanyakumari
Fifty-fifty har situation mein hissedaari..
Ek taraf to jhagdaa hai, saath phir bhi tagdaa hai
Do kadam chaltay hain to lagtaa hai aath hain
Do tarah ke flavor, sau tarah ke tevar
Dar-badar phirte hain ji phir bhi apnee ThaaTh hai
kabhi-kabhi chale seedhe, kabhi mud jaayein
kabhi-kabhi kahin tootein kahin jud jaayein
Hum shaam-seher ke, chaaron pahar ke, mood mein dhal jaayein..
Kashmir main tu kanyakumari
Uttar ne Dakshin ko aflaatoon aankh maari
Kashmir tu main kanyakumari
Tel bechne jaaye to phir ye duniya saaree..
Main zaraa sa puncture to tu hawaa ke jaisi hai
Saath ho to pahiye takdeeron ke tight hon
Bulb ban jaloon main aur tu switch ban jaaye
Bhaad mein jaaye duniyaa apni battee right ho
kabhi-kabhi chale seedhay kabhee mud jaayein
kabhi-kabhi paidal, kabhee ud jaayein
Humein dekh zamaane waalon ki chaahe naak sikud jaaye..
Kashmir main tu kanyakumari
Halke-phulke packet mein dekho mushkil bhaari
Kashmir tu main kanyakumari
Hindi mein gustaakhi hai to English mein sorry..