current location : Lyricf.com
/
Songs
/
Aurat lyrics
Aurat lyrics
turnover timeļ¼š2024-10-05 14:12:35
Aurat lyrics

Qalb-e-mahoul mein larzaan sharar-e-jang hain aaj

Hausley waqt ke aur ziist ke yakrang hain aaj

Aabgiinon mein tapaan walwale-e- sang hain aaj

Husn aur ishq ham aawaaz-o-humaahang hain aaj

Jis mein jaltaa huun usi aag mein jalnaa hai tujhe

Uth merii jaan mere saath hii chalnaa hai tujhe (x4)

Zindagii jehad mein hai sabr ke qaabuu mein nahiin

Nabz-e-hastii kaa lahuu kaamptii aansuu mein nahii

Urne khulne mein hai nakhat kham-e-gesu mein nahiin

Jannat aik aur hai jo mard ke pahluu mein nahiin

Uskii aazaad ravish par bhii machalnaa hai tujhe

Uth merii jaan mere saath hii chalnaa hai tujhe (x4)

Goshey goshey mein sulagtii hai chitaa tere liye

Farz kaa bhes badaltii hai qazaa tere liye

Qahar hai terii har narm adaa tere liye

Zahar hii zahar hai duniyaa kii havaa tere liye

Rut badal daal agar phuulnaa phalnaa hai tujhe

Uth merii jaan mere saath hii chalnaa hai tujhe (x4)

Comments
Welcome to Lyricf comments! Please keep conversations courteous and on-topic. To fosterproductive and respectful conversations, you may see comments from our Community Managers.
Sign up to post
Sort by