Tootay huway un khwabon kai
Uss dahektay sooraj tallay
Falak say ab tapkay na jo
Umeed kay qatray thay woh
Talakh ansuwon kay sailaab say
Bhee jo ho na saki num toh
Rotee thee woh
Yeh zameen
Meri maan thee woh
Khuda ka wajood
Mabood thee woh
Saya thee
Raushni bhee thee woh
Qadam tallay jannat
Meri aghosh thee woh
Jiss aasray keh liye
Rooh tarapti thee jiss kee
Jiss shama ko
Jala na sakee
Woh andhaira hoon mein
Yeh gunah-gar haath
bheek kee chah mein
Jo badhain darbadar uss kee soo
Dar rahi thee woh
Yeh zameen
Meri maan thee woh
Qadam tallay jannat
Meri aghosh thee woh
Aankh say tapka jo ab yeh lahoo
Zakham bharnay lagay
Sar-ba-sajood hoon uss ke hazoor
Gunah dhulnay lagay
Darguzar uss maan nay kiya
Faslay simatnay lagay
Wahdahoo! Uss kee kokh say hoon
Aik hee nabz, Aik wajood
Yeh zameen
Meri maan hai yeh
Khuda ka wajood
Mabood hai yeh
Saya hai
Raushni bhee hai yeh
Qadam tallay jannat
Meri aghosh hai yeh