khuda ka noor tujh mein hu ba hu hai
khuda pinha magar tu ru ba ru hai
teri azmat ka andaaza ho kisko
khuda hai aur khuda ke baad tu hai
aye khatme rasul makki madni
konain mein tumsa koi nahin
aye noor e mujassam tere siva
mehboob khuda ka koi nahin
rasool aur bhi aaye
jahaan mein lekin
tumsa koi nahin
ummatein aur bhi guzreen hain
rasool aur bhi hain par
tumsa koi nahin
mere kaali kamli waale aaka
tumsa koi nahin
aam hain rehmatein zamane par
rehmaton ka koi hisaab nahin
tere qurban ya rasoolallah
tera konain mein jawaab nahin
har chand aaye hain yahan laakhon hi paiyambar
un sab ka magar kaafil e saalar tum hi ho
masarat nasheen e alam e imkaan tum hi to ho
iss anjuman ki shama e farozan bas tum hi to ho
duniya e akhirat ka sahara tumhari zaat
dono jahaan ke waali o sultan tum hi to ho
mairaj mein jibraeel se kehne lage shah e umam
tune to dekhein hain haseen batlao to kaise hain hum
rooh ul ameen kehne laga e nazreen haq ki kasam
aafa gaha gar deeda um mehr e buta war zida um
kis yaar khuga deeda um lekin ko cheez deegar i
shahenshah do aalam tajdaare ambiyah tum ho
tumhara martaba allah o akbar jaane kya tum ho
mere aaka rasool e muhtaram khair ul bara tum ho
khudai bhar ke daata shaifa e roz e jafa tum ho
naaz karti hai tere naam pe waala e hasab ul
fakhr karti hai terei zaat pe aaleena sabi
chehra tera quran hai quran ke sadke
aye maalik e aalam main teri shaan ke sadke
ausaaf to sabne paaye hain par husn e saraapa koi nahin
aadam se janaab e isa tak sarkar ke jaisa koi nahin
ye shaan tumhari hai aaka
ke arshe e bareen jutiyan choomta hai
is hi fakhr mein aaj tak jhoomta hai
jalte hain jibraeel ke par jis makaam par
uski hakikaton se shanasa tum hi to ho
terian dhuman do jag dhumian
terian jutiyan arsh ne chumiyan
ye shaaan tumhari hai aaka
tum arsh e bareen par pahunche ho
zeeshan nabi hain sab lekin
mairaj ka dulha koi nahin
dil kisko dikhayein cheer ke ham
isiyan ka madawa kaun kare
aye rehmate aalam tere siva
dukhiyon ka maseeha koi nahin
khairaat Muhammad se paakar
kis naaz se kehte hain mangte
dukhiyon pe karam karne waala
sarkar se achcha koi nahin