are gore gore mukhde, chand ke tukde
kaali kaali zulfein, neeli neeli aankhen
khwaab dikhaade raah bhula de, hosh uda de sab ke
chain mita de, tan sulga de, mann mein de masti ghol
rock and roll soniye, dole yeh man tere liye
rock and roll soniye, kabhi tu bhi toh mere sang dol
yeh lachkile se tan, yeh balkhate badan
pehle dil hai maangte, phir maangte hain jaan
yeh rangeen bijliyaan, yeh jaadu karniyan
dekhin hai sau baar par hoon aaj bhi hairan
oh dekho aaye, oh dekho jaaye
kis naaz se nakhre se jhoom ke
apsaraayen,haseenayen ek pal ko jo dekhle ghoom ke
oh saare zamana ho diwana duniya gire kadmon pe
phir bhi yeh pariyan, husn ki kaliyan samjhe na pyar ke bol
oh sar pe topi laal, haath mein resham ka rumaal ho tera kya kehna
gore gore gaal, gaal par uljhe uljhe baal ho tera kya kehna
yeh dilbar yeh haseen, yeh toh jaane nahin
pyar hai kya cheez aur hoti wafa hai kya
yeh pal bhar ke sanam, inko kis ka hai gham
hum pe kya guzri bhala inko pata hai kya
yeh anjaane, yeh begaane behka hai kya jazbaat se
na yeh jaane, na yeh maane dil toote hain inke haathon se
oh aag se thandak barf se garmi maang ke hum pachtaaye
jaanib aaye, humne gavaayen din kitne anmol